Apr 29, 2015

Kya janay dil hi dil main woh karta tha kis ka zikar


Kya janay dil hi dil main woh karta tha kis ka zikar

Her dam zubaan-e-yaar pe yadish bakhair tha

Sun to sahi jahan main hai fasana kya


Sun to sahi jahan main hai fasana kya

Kehti hai tujh ko khalq-e-khuda ghaibaana kya

Tamaam umar youn hi ho gayi basar apni


Tamaam umar youn hi ho gayi basar apni

Shab-e-firaaq katti roz-e-intizaar aaya

Siyah bakhti main koi kab kisi ka saath deta hai



Siyah bakhti main koi kab kisi ka saath deta hai

Keh tareeki main saya bhi juda rehta hai insaan se

Beemaar-e-mohabbat ko ab Allah shiffa de


Beemaar-e-mohabbat ko ab Allah shiffa de

Suntay hain keh haath us se maseeha ne uthaya

Ayaam museebat kay to kaatay nahin jaatay


Ayaam museebat kay to kaatay nahin jaatay

Din Aaish kay ghariyon main guzar jatay hain kaisay

Bura maaniye mat meray dekhnay se


Bura maaniye mat meray dekhnay se

Tumhein haq ne aisa banaya to dekh
a


Apr 27, 2015

Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye


Phir sawan rutt ki pawan chali tum yaad aaye 
Phir patton ki pazaib baji tum yaad aaye 

Phir koonjein bolein ghus kay haray samnadar main 
Rutt ayi peelay phoolon ki tum yaad aaye 

Phir kaga bolay ghar kay soonay aangan main 
Phir amrat ras ki boond pari tum yaad aaye 

Pehlay to main cheekh kay roya aur phir hansnay laga 
Badal garja , bijli chamki , tum yaad aaye 

Din bhar to main duniya kay dhandon main khoya raha 
Jab dewaaron se dhoop dhali tum yaad aaye

Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay


Nasir youn us ki yaad chali haath thaam kay 

Melay main is jahan kay khonay nahin diya

Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi


Teri zulfon kay bikharnay ka sabab hai koi 
Aankh kehti hai teray dil main talab hai koi 

Aanch aati hai teray jism ki uriyaati se 
Pehrahin hai keh sulagti hui shab hai koi 

Hosh urranay lagein phir chand ki thandi kirnein 
Teri basti main hoon ya khwaab-e-tarb hai koi 

Geet banti hai teray shaher ki bhar'poor hawa 
Ajnabi main hi nahin tu bhi ajab hai koi 

Liye jaati hai kisi dhiyaan ki lehrain Nasir 
Door tak silsala-e-taak-e-taraf hai koi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...