Apr 23, 2016

Bazam-e-dil main shor-o-ghul hai barpa


Bazam-e-dil main shor-o-ghul hai barpa

Youn hi ghabra gaye keh tanha hain hum

Dard kay geet main sada thi nirali


Dard kay geet main sada thi nirali 
Aah-o-pukaar ne ik dhoom macha di 

Raqs main itnay thay mashghool keh bas 
Khaak main hum ne phir khaak mila di

Raqs-e-taoos main hoon mubtala


Raqs-e-taoos main hoon mubtala 

Ashk bahaon bhi to kis kay liye

Main kitna hoon zaroori kis kis kay liye


Main kitna hoon zaroori kis kis kay liye 

Taqseem jab khud ko kiya main , main na raha

Meri khud faraibi ne mujhay loota hai


Meri khud faraibi ne mujhay loota hai 

Aaina bar-aks bhi to toota hai

Aankhein udas hon to nazaray ko kya karein


Aankhein udas hon to nazaray ko kya karein 

Jab dil hi bujh gaya to saharay ko kya karein

Kuch bhi ojhal nahin hai teri nazron se


Kuch bhi ojhal nahin hai teri nazron se 

Jitnay bhi milay hain dukh woh milay hain apno se

Jitnay bhi jatan thay sab hi kar kay dekh liye


Jitnay bhi jatan thay sab hi kar kay dekh liye 

Hai agar jannat kahin , to woh khayalon main

Na junoon main tha na fanoon main tha


Na junoon main tha na fanoon main tha 

Woh sakoon jo teri aaghosh main tha

Main to aaj bhi nafrat ko mohabbat main badalti hoon


Main to aaj bhi nafrat ko mohabbat main badalti hoon 

Gar ibadat nahin yeh to phir kya main karti hoon ?
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...