Jun 3, 2016

Tap'tay dil par youn girti hai


Tap'tay dil par youn girti hai 
Teri nazar se pyar ki shabnam 

Jaltay huye junglon par jaisay 
Barkha barsay ruk ruk tham tham 

Hosh main thori be'hoshi hai 
Be'hoshi main hosh hai kam 

Tujh ko panay ki koshish main 
Dono jahan se kho gaye hum 


Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin


Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
Tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 


Ab agar mail nahin hai to judai bhi nahin 
Baat torri bhi nahin tum ne banai bhi nahin 


Yeh sahara bhi bhout hai meray jeenay kay liye 
Tum agar meri nahin ho to paraai bhi nahin 

Meray dil ko na saraho to koi baat nahin 
Ghair kay dil ko saraho gi to mushkil ho gi 

Tum haseen ho tumhein sab hi payar kartay hon gay 
Main jo marta hoon to kya uar bhi martay hon gay 

Sab ki aankhon main usi shouq ka toofan ho ga 
Sab kay seenay main yeh hi dard ubhartay hon gay 

Meray gahm main na kar'raho to koi baat nahin !
Aur kay gham main kar'raho gi to mushkil ho gi 

Phool ki tarah hanso sab ki nigahon main raho 
Apni masoom jawani ki panahon main raho 

Mujh ko woh din na dikhana tumhein apni hi qasam 
Main tarasta rahon tum ghair ki banhon main raho 

Tum jo mujh se na nibhao to koi baat nahin 
Kisi dushman se nibhao gi to mushkil ho gi 

Tum agar mujh ko na chaho to koi baat nahin 
Tum kisi aur ko chaho gi to mushkil ho gi 

Jun 2, 2016

Jo baat tujh main hai , teri tasveer main nahin


Jo baat tujh main hai , teri tasveer main nahin

Rangon main tera aks dhala to na dhal saki
Sanson ki aanch jisam ki khushbu na dhal saki
Tujh main jo loch hai meri tehreer main nahin

Be'jaan husan main kahan raftaar ki adaa
Inkaar ki adaa hai na iqraar ki adaa
 Koi lachak bhi zulf-e-girah geer mian nahin 

Duniya main koi cheez nahin hai teri tarah 
Phir aik baar samnay aa jaa kisi tarah 
Kya aur ik jhalak meri taqdeer main nahin 

Raat bhi hai kuch bheegi bheegi


Raat bhi hai kuch bheegi bheegi 
Chand bhi hai kuch madham madham 

Tum ayo to aankhein kholay 
Soi hui payal ki chham chham 

Kis ko bataein kaisay bataein 
Aaj ajab hai dil ka aalam 

Chain bhi hai kuch halka halka 
Dard bhi hai kuch madham madham 


Yeh zulf agar khul kay bikhar jaye to acha


Yeh zulf agar khul kay bikhar jaye to acha 
Is raat ki taqdeer sanwar jaye to acha 

Jis tarah se thori si teray saath katti hai 
Baqi bhi isi tarah guzar jaye to acha 

Duniya ki nigahon main bura kya hai bhala kya
Yeh bojh agar dil se utar jaye to acha 

Waisay to tum hi ne mujhay barbaad kiya hai 
Ilzaam kisi aur kay sar jaye to acha 
 

Parbaton kay pairron par shaam ka basera hai


Parbaton kay pairron par shaam ka basera hai  
Sur'mai ujaala hai , cham'pai andhera hai 

Dono waqat miltay hain do dilon ki surat main 
Aasman ne khush ho kar rang sa bakhaira hai 

Thehray thehray pani main geet sar'saratay hain 
Bheegay bheegay jhonkon main khushbu'on ka daira hai 

Kiyon na jazab ho jayein is haseen nazaray main 
Roshni ka jhurmat hai , mastiyon ka ghaira hai

Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main


Mujhay galay se laga lo bhout udaas hoon main 
Gham-e-jahan se churra lo bhout udaas hoon main 

Yeh intizar ka dukh ab saha nahin jata 
Tarap rahi hai mohabbat raha nahin jata 
Tum apnay paas bula lo bhout udaas hoon main 

Her ik saans main milnay ki payas palti hai 
Sulag raha hai badan aur rooh jalti hai 
Bachaa sako to bachaa lo bhout udaas hoon main 

Bhatak chuki hoon bhout zindagi ki rahon main 
Mujhay ab aa kay chupa lo bhout udaas hoon main 
Mera sawal na talo bhout udaas hoon main

Apna dil paish karon , apni wafa paish karon


Apna dil paish karon , apni wafa paish karon 
Kuch samjh main nahin aata tujhay kya paish karon 

Teray milnay ki khushi main koi naghma chairon
Ya teray dard-ej-udai ka gila paish karon 

Meray khawabon main bhi tu , meray khayalon main bhi tu 
Kon si cheez tujhay tujh se juda paish karon 

Jo teray dil ko lubhaye woh ada mujh main nahin 
Kiyon na tujh ko koi teri hi adaa paish karon 

Naghma-o-shair ki soghaat kissay paish karon


Naghma-o-shair ki soghaat kissay paish karon 
Yeh chalaktay huye jazbaat kissay paish karon 

Shokh aankhon kay ujalon ko lutaon kis par 
Mast zulfon ki siyah raat kissay paish karon 

Garm sanson main chuppay raaz bataon kis ko 
Narm honton main dabbi baat kissay paish karon 

Koi hum'raaz to paon koi hum'dam to milay 
Dil ki dharkan kay isharaat kissay paish karon 


Jayein to jayein kahan , samjhay ga kon yahan


Jayein to jayein kahan 
Samjhay ga kon yahan , dard bharray dil ki zuban 

Jayein to jayein kahan 

Ma'yousiyon ka maj'ma hai jee main 
Kya reh gaya hai is zindagi main 

Rooh main gham , dil main dhuwan 
Jayein to jayein kahan  

Un ka bhi gham hai apna bhi gham hai 
Ab dil kay bachnay ki umeed kam hai 

Aik kashti so toofan 
Jayein to jayein kahan 



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...