Jan 4, 2017

Na biyaan hui un se na zahir hui hum se


Na biyaan hui un se .!!!
Na zahir hui hum se . !!!
Bas...
Suljhi hui aankhon main 
Uljhi rahi mohabbat 

Rooh tak nelaam ho jati hai bazar-e-ishq main


Rooh tak nelaam ho jati hai bazar-e-ishq main 

Itna Asaan nahin hota kisi ko apna bana lena 

Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main


Uqaabi rooh jab baidaar hoti hai jawano main 

Nazar aati hai un ko apni manzil aasmano main 

Husan-e-yousaf ko daikh kar wahan katti thi kai ungliyan


Husan-e-yousaf ko daikh kar wahan katti thi kai ungliyan 

Khud chand katt gaya yahan ungli (s.a.w) ko daikh kar 

Hum ne khud main tum ko paroya hai ik tasbeeh ki tarah


Hum ne khud main tum ko paroya hai ik tasbeeh ki tarah 

Yaad rakhna agar hum tootay to bikhar tum bhi jaao gay 

Jo teray naseeb kay shaher se kisi aur shaher ko chal diya


Jo teray naseeb kay shaher se kisi aur shaher ko chal diya 
Ussay rokna , ussay tokna , ussay kosna bhi fazool hai 

Yeh nizam-e-hijar-o-wisaal hai , yehi aashqui ka kamaal hai 
Woh mila to dil se qabool tha , woh bichar gaya to qabool hai 

Ungliyan aaj bhi is soch main gum hain "Faraz"


Ungliyan aaj bhi is soch main gum hain "Faraz" 

Us ne kaisay naye haath ko thaama ho ga 

Dilon main khouf tha na dehshaton ka pehra tha


Dilon main khouf tha na dehshaton ka pehra tha 

Meray khayal main yeh dour hi sunehra tha 

Jin ko mil jati hai to tujh ko bhula detay hain


Jin ko mil jati hai to tujh ko bhula detay hain 

Yaad hum jaison ne rakha hai mohabbat tujh ko 

Hum se badal gaya woh nigahein to kya hua


Hum se badal gaya woh nigahein to kya hua 

Zinda hain kitnay log mohabbat kiye baghair 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...