Jan 8, 2017

Ik kali gulaab ki


Harf Sada-o-Rangeen 

Ik kali gulaab ki 
Koocha-e-chaman main bhi hai 
Yaad ik khawaab ki 
Shaam kay gagan main hai 
Ism sabz baab ka 
Par faraib ban main hai 
Naqsh ik shabaab ka 
Saya kohan main hai 
Ik pukaarti sada 
Jabar kay gohan main hai 
Door door tak hawa 
Koh aur daman main hai 

Phir harri bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar


Be'sood safar kay baad Aaraam ka pal 

Phir harri bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar 
Phir wohi khawab-e-tamana phir wohi dewar-o-dar 

Bul'bulein , ashjaar , ghar , shams-o-qamar
Khouf main lazzat kay maskan, jisam pe un ka asar 

Mousamon kay aanay jaanay kay wohi pur'nishan 
Saat rangon kay neelay falak tak pur'fishaan

Subha dam soonay mohallay pheeki pheeki seh'pehar
Phool girtay daikhna shaakhon se farsh shaam par 

Khawab us kay daikhna mojood tha jo baam par 
Khawab us bailon kay neechay baithna shaam-o-sehar

Jan 7, 2017

Aik Dozakhi shaher par baadlon kay liye dua


Aik Dozakhi shaher par baadlon kay liye dua 

Garam rang phoolon ka 
Garam thi mehak un ki 
Garam khoon aankhon main 
Tez thi chamak un ki 

Sochta main kya un ko 
Us haseen ki baaton ko
Daikhta main kya us kay 
Khaak rang haathon ko 

Khouf tha tamazat main 
Aaish-e-shab ki shiddat ka 
Dar khulla tha dozakh ka 
Lams lab ki hiddat ka 

Main jawab kya deta 
Us ki un adaon ka 
Aik shaher-e-murda main 
Door ki nidaon ka 

Sehar zard baatin main 
5 band ismon ka 
Ban gaya tha jismon main 
Zehar 5 qismon ka 

Rukhsat-e-sarma ki subha sard , num , sangeen


Rukhsat-e-sarma ki subha sard , num , sangeen 
Khawab-e-khamoshi ki teh main ik jhalak rangeen si 

Baans ka jungle , hawa , pani , purani jheel ka 
Sabz dar par rang jaisay aasman kay neel ka 

Girtay jatay shaher dono simat ik ambaar main 
Kheenchti jaati khaak maidaan aik hi raftaar main 

Hiltay jatay naqsh se kuch phailti dewaar par 
Bujh kay girtay harf se had-e-safar Aasaar par 

Her taraf khushbu hawa main ban main aqrab aab ki 
Aik pur-israar khawaish dil main marg-e-Aab ki 

Aadhi Raat Main Aik Neem Waa Dareecha


Aadhi Raat Main Aik Neem Waa Dareecha 

Aadha chehra roshni main hai , aadha kaalay parday main 

Aik aankh hai suraj jaisi aik hai kaalay parday main 

Bhaid na ab tak baahir aaya Aadhay giray naqabon se

Aankh hamesha ghirri rahi zaahir aur chuppay sarabon main 

Jan 6, 2017

Tohmat na rakh Khuda kay liye mujh pe Zahid


Tohmat na rakh Khuda kay liye mujh pe Zahid

Kab main ne toba ki thi , jo toba shikan hua 

Aik Shaher Main Shaam


Aik Shaher Main Shaam 

Chali hawa'ein baghon main 
Urray hain rang chraghon main 
Chupa hai gham awazon main 
Khullay huye darwazon main 

Zakhmi dushman hairat main hai


Aik Bahadur Ki Mout 

Zakhmi dushman hairat main hai 
Aisa bhi ho sakta hai 
Us ko shayed khabar nahin thi 
Ab woh gehri hairat main hai 

Aasman par Rab hai us ka aur sada'ein yaaron ki 
Aas paas shaklein hain us kay lahu lo'haan sawaron ki 
Dil main us kay khalish hai koi , shayed gayi baharon ki 
Khel zara un'honi kay dekho aur jafa ghadaron ki

Fateh ki mout mili ussay ghar door diyaaron ki  

Aik Lamha Tez Safar Ka


Aik Lamha Tez Safar Ka 

Ik riban kisi ki zulfon ka 
Bemaar mehak kisi jungle ki 
Rangeen jhalak kisi badal ki 

Darwaze baray makano kay 
Kuch phool khilay dilano kay 
Kuch rang chuppay veerano kay 
Fanoos khulli dukano kay 

Ik larri main urrtay aatay hain 
Aur wapis martay jatay hain 

Jan 5, 2017

Honay ka gham ussay bhi hai


Honay Ka Gham Kis Ko Nahin 

Honay ka gham ussay bhi hai 
Aur mujh ko bhi 
Kabhi na honay ka andesha 
Ussay bhi hai aur mujh ko bhi 
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...