Jan 28, 2017

Khawaab mehangay bhout paray hum ko


Khawaab mehangay bhout paray hum ko 

Gham ki maqrooz ho gayi aankhein 

Pichlay baras yeh darr tha kahin kho na jaye tu


Pichlay baras yeh darr tha kahin kho na jaye tu

Ab kay baras dua hai tera saamna na ho 


Aankhein tak nichorr kar pee gaye


Aankhein tak nichorr kar pee gaye 

Uff teray gham kitnay pyasay thay  

Manzil to khush naseebon main taqseem ho gayi


Manzil to khush naseebon main taqseem ho gayi 

Kuch khush khayal abhi tak safar main hain 

Tumharay da'iron main ik umar se mehav-e-gardish hoon


Tumharay da'iron main ik umar se mehav-e-gardish hoon 

Mera markiz nahin badla , mera mehwar nahin badla

Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi


Yeh meri zeest ki sab se bari tamana thi 

Tum meray saath meray naam ki tarah rehtay 

Mujh ko manzoor teray naam ki tohmat


Mujh ko manzoor teray naam ki tohmat 

Tujh pe marti hoon , saaf kehti hoon 


Tumhari deed se pehlay , in hi darwaish aankhon ki


Tumhari deed se pehlay , in hi darwaish aankhon ki 

Jahan tak roshni jaati thi manzir raqs kartay thay 

Yeh shart-e-ulfat bhi ajeeb hai mohsin


Yeh shart-e-ulfat bhi ajeeb hai mohsin 

Main poora utar'ta hoon woh miyaar badal detay hain

Jan 27, 2017

Kabhi kabhi "Khizaan" darakhton par hi nahin


Kabhi kabhi "Khizaan" darakhton par hi nahin

Hamaray wajood par bhi utrarti hai 

Lakin us khizaan ka 

Hamaray siwa kisi aur ko ilm nahin hota


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...