Jan 31, 2017

Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi



Insaan ka her ayeb chupa deti hai kursi 

Budhon ko bhi zee'shan bana deti hai kursi 

Shab bhar main yeh muflis ko bana deti hai zar'daar 

Soi hui kismat ko jaga deti hai kursi 

Gaoun main jo mashoor hai "gulu" kay laqb say 

Uss shaks ko gulsher bana deti hai kursi 

Woh log jo mariyaal say nazar atay hain pehlay 

Un logoun ki tawanai ko barha deti hai kursi 

Ta umer woh phir uss kay liye bharta hai aahain 

Ik baar jisay jalwa dikha deti hai kursi 

Woh log jo rehtay hain karaye kay makan main 

Bangloun main unhain la kay bitha deti hai kursi 

Gar sahib-e-kursi hai faqat  3 hi foot ka 

Uss bonay ko  6 foot ka bana deti hai kursi 

Woh log jo ek lafz ada kar nahi saktay 

Taqreer ka fun unn ko sikha deti hai kursi 

Nazdeeq nahi aata niyaz! Iss kay koi bhi 

Jiss shakhs ko ek baar gira deti hai kursi

Jan 30, 2017

Daman main aansu'on ka zakheera na kar abhi


Daman main aansu'on ka zakheera na kar abhi 
Yeh sabar ka maqaam hai giriya na kar abhi 

Jis ki sakhawaton ki zamanay main dhoom hai 
Woh haath so gaya hai taqaza na kar abhi 

Nazrein jala kay daikh manazar ki aag main 
Israar-e-kainaat se parda na kar abhi 

Yeh khamoshi ka zehar nason main utar na jaye 
Awaz ki shakist gawara na kar abhi 

Duniya pe apnay ilam ki par'chaiyan na daal 
Aye roshni faramosh andhera na kar abhi 

Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho


Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho 
Zara apnay andar jhanko tum khud khuda rakhtay ho 

Apnay kir'daar ko rakhtay nahin paak saaf zara bhi 
Aur her waqat honton pe khushiyon ki dua rakhtay ho 

Ishq se aashna rakh apnay dil-e-be'qaraar ko 
Bhaa jaye jo khuda ko tum woh adaa rakhtay ho 

Ab to awaz bhi nahin deta tera zameer tujh ko 
Kiyon apnay aap se , apnay aap ko khafa rakhtay ho 

"Abaas" teri talaash ko ho ga kuch na muyassar zamanay se
4 din ki chahat main kiyon dil apna jalaa rakhtay ho 

Khuda kay bandon se kiyon umeed-e-wafa rakhtay ho 
Zara apnay andar jhanko tum khud Khuda rakhtay ho  



Sasural se jo maikay main aati hain biwiyan


Sasural se jo maikay main aati hain biwiyan
Sau sau tarah se dhoom machati hain biwiyan

Khanay mazay mazay kay khilati hain biwiyan
Jeenay ka jo maza hai chakhaati hain biwiyan

Kuch din to khoob aish karati hain biwiyan
Phir aish kay baad khoon rulati hain biwiyan

Kuch raat din nidhal hai biwi ke waaste
Paale ye sab wabaal hai biwi ke waaste

Itnay jatan se gher me jo aati hain biwiyan
Ungli per shoher ko nachaati hain biwiyan
qaida chati ka yaad dilati hain biwiyan

Ab yeh faisala kar lo


Uljhan

Ab yeh faisala kar lo 
Meri aankhon main rehna hai 
Ya phir dil main basa loon main 
Magar tum itnay nazuk ho 
Agar dil main basaya to 
Kahin phir toot na jao 
Ya phir aankhon main rehna hai 
Meri gehri udasi main 
Kahin tum doob na jao 

Yeh ab jo Morr aaya hai


Yeh ab jo Morr aaya hai 

Yeh ab jo morr aaya hai 
Yahan ruk kay kai baatein samjhnay ki zaroorat hai 
Keh yeh is raastay ka aik hissa hi nahin , saray 
Safar ka jaanchnay ka , daikhnay ka , tolnay ka 
Aik paymana bhi hai , yehni
Yeh aisa aaina hai 
Jis main aks haal-o-maazi aur mustaqbil
ba'yak lamha nu'mayan hai 
Yeh is ka ista'aara hai 
Jo apni manzil-e-jaan hai 
Suna hai raig-e-sehra kay safar main 
Raastay se 2 qadam bhatkein 
To manzil tak ponchnay main kai farsang ki doori nikalti hai 
Yeh ab jo morr aaya hai 
Yahan ruk kay kai baatein samjhnay ki zaroorat hai 


Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath


Is tarah zindagi ne diya hai hamara saath 

Jaisay koi nibah raha ho raqeeb se 

Phir wohi hijar ka manzir hi raha aankhon main


Phir wohi hijar ka manzir hi raha aankhon main 

Yeh naya saal bhi khirki se guzartay daikha 

Junoon-e-sajda ki may'raaj hai yahi shayed


Junoon-e-sajda ki may'raaj hai yahi shayed 

Keh teray dar kay siwa koi aastaan na raha 

Phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya


Phir mujhay deeda-e-tar yaad aaya 
Dil-e-jiger tishna-e-fariyaad aaya 

Zindagi youn bhi guzar hi jaati 
Kiyon tera raah guzar yaad aaya 

Phir teray koocha ko jaata hai khayal 
Dil-e-gum gashta magar yaad aaya 

Koi veerani si veerani hai 
Dasht ko daikh kay ghar yaad aaya 

Main ne majnu pe , lark'pan main "Asad"!
Sang uthaya tha , keh sar yaad aaya 

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...