Mar 9, 2017

Suno larki ! Kisi ko tum ne chaha tha


Suno larki !
Kisi ko tum ne chaha tha 
Tumhein woh mil nahin paya 
Kisi ko main ne chaha tha 
Mujhay woh mil nahin paai 
Adhoori tum bhi ho ab tak 
Adhoora main bhi hoon ab tak 
Adhooray pan ki tanhai 
Tujhein bhi dasti rehti hai 
Adhooray pan ki tanhai 
Mujhay bhi dasti rehti hai 
Adhooray pan se tum bhi ab 
Nikalna chahati ho na 
Adhooray pan se main bhi ab 
Nikalna chahata hoon bas 
Tumharay aur meray sab 
Masa'il aik jaisay hain 
Sabhi gham aik jaisay hain 
Sabhi dukh aik jaisay hain 
Suno Larki !
Chalo aik kaam kartay hain 
Mujhay tum waisa hi chaho 
Keh jaisa uss ko chaha tha 
Tumhein main waisa hi chahon 
Keh jaisa uss ko chaha tha 
Chalo aayo keh mil jul kar 
Naya ik ghar basatay hain 
Mohabbat kay diye ko phir 
Mohabbat se jalatay hain 

Feb 23, 2017

Alfaaz kay jhootay bandhan main


Yeh ishq mohabbat mehar-o-wafa 

Alfaaz kay jhootay bandhan main 
Aaghaz kay gehray pardon main 
Her shakhs mohabbat karta hai 
Halan'keh mohabbat kuch bhi nahin 
Sab jhootay rishtay naatay hain 
Sab dil rakhnay ki baatein hain 
Kab kon kisi ka hota hai 
Sab asli roop chupatay hain 
Ehsaas se khaali log yahan 
Lafzon kay teer chalatay hain 
Ik baar nazar main aa kay woh 
Phir saari umar rulatay hain 
Yeh ishq mohabbat mehar-o-wafa 
Yeh sab kehnay ki baatein hain 
Her shakhs khudi ki masti main 
Bas apni khatir jeeta hai 

Feb 21, 2017

Rishta torr kay janay walay


Rishta torr kay janay walay 
Mujh ko chor kay janay walay 
Ab ki eid par 
Mujh ko jitnay card milay 
Un cardon main 
Sab se payara 
Sab se acha 
Pehla card tumhara hai 
Mujh ko chor kay janay walay 
Zara kaho tum 
Yeh kis taraf ishara hai ....?

Feb 3, 2017

Yeh haseen shaam apni


Yeh haseen shaam apni
Abhi jis main ghull rahi hai
Teray peh'rahan ki khushbu
Abhi jis main ghull rahay hain
Meray khawab kay shagoofay
Zara dair ka hai manzir
Zara dair main ufaq pe
Khillay ga koi sitara
Teri simat daikh kar woh
Karay ga koi ishara
Teray dil ko aaye ga phir
Kisi yaad ka bulawa
Koi qissa-e-judai
Koi kaar-e-na'mukamal
Koi khawab-e-na'shagufta
Koi baat kehnay wali
Kisi aur aadmi se
Hamein chahiye tha milna
Kisi ehad-e-meharban main
Kisi khawab kay yaqeen main
Kisi aur aasman main
Kisi aur sar'zameen main

Bujha diye hain khud apnay haathon


Bujha diye hain khud apnay haathon 
Mohabbaton kay diye jala kay 
Meri wafa ne ujaar di hain 
Umeed ki bastiyan basa kay 
Tujhay bhulaa dain gay apnay dil se
Yeh faisala to kiya hai lakin 
Na dil ko maloom hai na hum ko 
Jeeyein gay kaisay tujhay bhulaa kay 
Kabhi milein gay jo raastay main 
To munh phair kar palat parein gay 
Kahin sunein gay jo naam tera to 
Chup rahein gay nazar jhukaa kay 
Na sochnay par bhi sochta hoon 
Keh zindgani main kya rahay ga ?
Teri tamana ko dafan kar kay 
Teray khayalon se door jaa kay 



Neend bharri aankhon se ik sapna daikha


Neend bharri aankhon se ik sapna daikha 
Door , bhout door main ne koi apna daikha 

Ussay qadmon ki chaap sunaai deti hai 
Jissay kabhi ik zamanay se nahin daikha 

Woh loat aaye ga iss baat ka yaqeen to tha 
Par kabhi kisi ko itni dair kartay nahin daikha 

Aaj kiyon uss ki aankhein num lagti hain 
Jissay youn kabhi na main ne ashk'baar daikha 


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga


Nahin hai yeh rutt milnay ki woh mousam aur hi ho ga 
Teray aanay ki gharriyon ka woh aalam aur hi ho ga 

Koi madham mehak aa kar galay ka haar banti hai 
Udasi hijar ki jaisay wisaal-e-yaar banti hai 
Teray phoolon se honton par tabasum aur hi ho ga 

Jahan jis main rafaqat ki khushi mehsoos hoti hai 
Mohabbat jis main her shay da'imi mehsoos hoti hai 
Hamaray haal kay raazon ka mehram aur hi ho ga 


Feb 2, 2017

Din guzar jaata hai , raat guzar jaati hai


Din guzar jaata hai , raat guzar jaati hai 
Par teri yaadein aankhon ki nami ban kar 
Meray dil ki gehraai main kahin 
doob jaati hain 
Kabhi beh jaati hain palkon talay se
Kabhi dil hi main atak jaati hain 
Unn yaadon se daman churaana 
Un yaadon se bhaag jaana 
Meray bas main nahin 
Yeh soch kar 
Meri dharkanein tham jaati hain 
Aarzu'ein sulag jaati hain 
Sabhi raaha'tein seham jaati hain
agar main teri yaadon se 
Rihaai paa bhi loon 
Meri zindagi meri saan'sein jam jati hain 


Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah


Dil kisi yaar-e-ba'wafar ki tarah 
Ba'khabar hai bhout khuda ki tarah 
Zindagi bhar tumhara naam meray 
Dil se nikla kisi dua ki tarah 
Main ne her morr pe tujhay dhoonda 
Hijar kay shaher ki hawa ki tarah 
Umar bhar tera dukh uthaya hai 
Waqat ki di hui saza ki tarah 
Kuch nahin soojhta mohabbat main 
Khouf aur gham ki intihaa ki tarah 


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...