Feb 11, 2016

Choota jo tera haath to hum toot ke roye



Choota jo tera haath to hum toot ke roye
tum jo na rahay saath to hum toot ke roye

chaahat ki taman'na thi aur zakhm diye tum ne
paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye

imkaan na tha duur talak tajdeed-e-ta'alluq ka
dekhay jo yeh haalaat to hum toot ke roye

anjaan thay hum ab tak dard ki soorat se
hui jo mulaaqaat to hum toot ke roye

jeeti thi sadaa hum ne har baazi teray saath
tanha jo sahi maat to hum toot ke roye

logo'n ne bahut poochha sabab veraani-e-dil ka
jab ho na saki baat to hum toot ke roye

thi dhoop bahut taiz har simt judaayi ki
barsi jo na barsaat to hum toot ke roye

zad mein tha khizaao'n ki ab ke dil-e-barbaad
bichhrray jo shajar-paat to hum toot ke roye

din bhar tou rahay chup keh duniya ki nazar thi
bheegi jo siaah raat to hum toot ke roye

samjha tha sadaa tujh ko apna he koi hissa
tukrro'n mein bati zaat to hum toot ke roye

hum kartay rahay aaj talak 'uss chaand' ki khwahish
yaad aayi jo auqaat to hum toot ke roye



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...