Hai justagoo keh khoob se hai khoob tar kahan
ab therte hai dekhiya ja kar nazar kahan
ya rab is akhtalat ka anjaam ho bakhair
tha us ko hum se rabt magar is qadar kahan
ik umar chiye keh ghawara ho neesh ishq
dukhi hai aaj lazat-e-zakham jiger kahan
hum jis pe mar rahay hain woh hai baat he kuch aur
aalam main tujh se laakh sahi to magar kahan
hoti nahin qabool dua tark ishq ke
dil chahta na ho to zubaan main asar kahan
hali nishaat-e-naghma may dhoondtay ho ab
aye ho waqat subho rahay raat bhar kahan
Poet: Khwaja Iltaf Hussain Hali
No comments:
Post a Comment