Mareez-e-mohabbat unhi ka fasana
Sunaata raha dam nikaltay nikaltay
Magar zikr e sham e alam jab bhi aya
Charagh e seher bujh ga~ay jaltay jaltay
Irada tha tark e muhabat ka laikin
Faraib e muhabat mein phir aa gaye hum
Abhi kha kay thokar sambhalnay na paa'ay
Keh phir kha~ee thokar sambhaltay sambhaltay
Unhain khat mein likha tha dil muztarib hay
Jawab un ka aya muhabat na kartay
Tumhain dil laganay ko kis nay kaha tha
Behel ja~ay ga dil beheltay beheltay
Voh mehmaan bhee rahay to kab tak hamaray
Hoi shama gul aur doobay sitaray
Qamar is qadar un ko jaldi thi ghar ki
Woh ghar chal diya chandni dhaltay dhaltay
No comments:
Post a Comment