Feb 25, 2014

Mere khuda mujhe itna to motabar kar dy




Mere khuda mujhe itna to motabar kar dy
Main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar dy


Ye roshni k taqqub mein bhagta hua din
Jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar dy


Main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
Jo ho sake to duaon ko beasar kar dy


Sitara-e-sahri dubne ko aya hai
Zara koi mere suraj ko ba-khabar kar dy


Qabila war kamanein karakne wali hain
Mere lahu ki gawahi mujhe na'dar kar dy


Meri zamin mera akhiri hawala hai
So main rahun na rahun us ko barawar kar dy


Main apne khwab se kat kar jiyun to mere khuda
Ujar de meri mitti ko dar-ba-dar kar dy

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...