Feb 25, 2014

Na kisi ki aankh ka noor hoon





Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Jo kisi ke kaam na aa sake
main woh ek musth-e-gubaar hoon

Mera rang roop bigar gaya
mera yaar muhjse bichar gaya

Jo chaman khizaan se ujar gaya
main usi ki faasl-e-bahar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
na kisi ke dil ka karar hoon

Main kahan rahoon main khahan basu
na yeh mujhse khush na woh mujhse khush

Main zamin ki peet ka boj hoon
main falak ke dil ka gubaar hoon

Na kisi ki aankh ka noor hoon
pade faatiha koyi aaye kyon

Koyi chaar phool charhaye kyon
koyi aa ke shama jhalaye kyon

Main woh be-kasi ka mazaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

Na kisi ke dil ka karar hoon
jo kisi ke kaam na aa sake

Main woh ek musth-e-gubaar hoon
na kisi ki aankh ka noor hoon

 Poet : bahadur shah zafar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...