Feb 12, 2014

Tabeeb ban kar jo aa gaye ho


Tabeeb ban kar jo aa gaye ho
main neem jaan tha to tum kahan thay

tumhari ulfat ki be'hissi pe
main noha khwan tha to tum kahan thay?

Har aik gul tha khizan raseeda
k aag har su lagi hue thi

bahaar aai tu aa gaye ho
yahan dhuwaan tha to tum kahan thay?

Lahu se hum ne diye jalaye
to phir kahin se seher bhi aai

andhaira jab tak taweel raaton ka hukmran tha to tum kahan thay?

Shaoor_e_guftar aa gaya hai,
na mery lehjay mein zehar gholo

mujhay ab apni zuban milli hai
main be'zuban tha to tum kahan thay?

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...