tum se ulfat ke takazay na nibhaye jatay
warna hum ko bhe tamana the keh chahay jatay
dil ke maroon ka na kar gham keh yeh andoh naseeb
zakham bhe dil main na hota to karahay jatay
kam nigha he ke humain khud bhe kahan the toufeeq
kam nigha he kay liye azar na chahay jatay
kaash ae abar bahaari teray behkay se qadam
meri umeed ke sehra main bhe ghay jatay
hum bhe kyun dehar ke raftaar se hotay pamaal
hum bhe her lagzish masti ko sarahay jatay
lazat-e-dard se asooda kahan dil walay
hain faqat dard ke hasrat main karahay jatay
hai teray fitna-e-raftaar ka shohra kiya kiya
garcha dekha na kisi ne sar-e-rahe jatay
de na mohlat humain hasti ne wafa ke warna
aur kuch din gham hasti se nibhaye jatay
No comments:
Post a Comment