Feb 21, 2014

Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye


Raat ke kisi lamhay jab tumhare yaad aye

To batyo mujh ko main kiya karoon

Tumhain meethi neend se jaga doon

ya tumharay seenay pe sar rakh doon

tumhare gehri band aankhain kholoon

Aur un main sam jayoon

Ya tumhain bina aankhain jhapkay dekhta jayoon

Keh kahin yeh khwaab toot na jaye

Keh tumhara sath choot na jaye

Suno

Mujhay tumharay sath Guzara ik lamha bhe bhula gawara nahin

Suno

Utho aur aik baar mujhay aankh bhar ke dekho

Aur mujh ko kaho Keh 

Tum sirf meri ho


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...