Tu ne dekha hai kabhi ek nazar sham ke baad
kitne chup-chap se lagate hain shajar sham kay baad
itanay chup-chaap ke raste bhi rahenge la-ilm
chor jayen gay kisi roz nagar sham kay baad
main ne aisee hi gunah teri judai mein kiye
jaise tufan mein koi chod de ghar sham kay baad
sham se pehlay wo mast apni udanon mein raha
jis ke hathon mein the tute hue par sham kay baad
raat biti to gine aable aur phir socha
kon tha bais-e-agaz-e-safar sham kay baad
tu hai suraj tujhe malum kahan raat ka dukh
tu kisi roz mere ghar mein utar sham kay baad
laut aaye na kissi roz wo aawara mizaaj
khol rakhte hain isi aas pe dar sham kay baad
No comments:
Post a Comment