Ab agar ayo to janey kay liye mat ana
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana
Main ne palkon pe tam'manaein saja rahki hain
Dil main umeed ko so shama'ein jala rakhi hain
Yeh haseen shama'ein bujha;ney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana
Piyaar ki aag main zangerain pighal sakti hain
Chahney walon ki taqderain badal sakti hain
Tum ho be-bas yeh bata;ney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana
Ab to mana jo mujhay tum se mohabbat hai koi
Mujh se milney ki agar tum ko bhi chahat hai koi
Tum koi rasam nibahaney kay liye mat ana
Ab agar ayo to janey kay liye mat ana
Sirf ehsaan jatla'ney kay liye mat ana
Poet : Javaid Akhtar
No comments:
Post a Comment