Mar 30, 2014

Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main




Ahwaal-e-ghum-e- zaat sunaany se raha main
Ab khud ko tamasha to banaany se raha main

Hur baar main tazlil-e-ana kar nai sakta
Har baar usay ja k manaany se raha main

Ehsaan ka mafhoom hai aankhain na milaana
Ehsaan kisi ka bhi uthaany se raha main

Mumkin hy kisi roz ye akseer hi bun jaaye
Is dil me lagi aag bujhaany se raha main

J0 zakhm rafeeqon k rwaiyyon se lagey hain
W0 zakhm kisi ko bhi dikhaany se raha main

Jaany do mujhy bazm-e-turab me nai roko
Baar-e-ghum-e-tanhaai uthaany se raha main

Darya hun to darya he usey paish krunga
Piyaasy ko samandar to pilaany se raha main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...