Ajab be ikhtiari hai
Aur is be iktiyari main
Meray jazbay, Meray alfaaz mujh se rooth jatay hain
Main kuch bhe keh nahin sakta, main kuch bhe likh nahin sakta
Udasi orh leta hoon
Aur in lamhon ki muthi main
Tumhari yaad ke jugnoo kahin jab jagmagatay hain
ya beetay waqat ke saye
Meri be khwaab aankhon main kai deepak jalatay hain
Mujhay mehsoos hota hai
Mujhay tum ko batana hai
Keh rut badlay to panchi bhe gharon ko loat atay hain
Suno jann ..... ! chalay ayo
Tumhain mousam bulatay hain
Meray Andar bhout din se
keh jaisay jung jari hai
ajab be-ikhtiari hai
Main na chahyon magar phir bhi tumhari soch rehti hai
her aik mosam ki dastak se tumhara aks banta hai
kabhi barish tumharay shabnami lehjay main dhalti hai
kabhi sarma ki yeh ratain
Tumharay sard hathon ka dehkhta lams lagti hain
kabhi pat jhar
Tumharay poan se ronday huay
paton ki awazain sunata hai Mujhay be had satata hai
Kabhi mousam gulabon ka
Tumhari mukurahat ke sabhi manzar jagata hai
Mujhay be-had satata hai
Kabhi palkain tumhari
Dhoop orhay jism-o-jaan par shaam karti hai
Kabhi Aankhain meray likhay huaye misroan ko
Apney naam karti hain
Main kush hoon ya udasi ke kisi mousam se lipta hoon
Koi mehfil ho tanhai main ya mehfil main tanha hoon
Ya phir apni lagaye Aag main bujh bujh ke jalta hoon
Mujhay mehsoos hota hai
Meray andar bhout din se
Keh jaisay jung jari hai
No comments:
Post a Comment