Mar 10, 2014

Mujhay mat chahyo us asmaan ki tarah

Mujhay mat chahyo us asmaan ki tarah
 jo sab kay liye meherbaan
khoobsurat aur dilkash hai
 magar sab ki poonch se bhout door hai
Mujhay mat chayo us phool kitarah 
Jo chand hi lamhon main apni taro-tazgi kho beth'ta hai
Mat chayo us zameen ki tarah
Jo kabhi zarkhaiz aur kabhi banjar hai
Mat chayo buat ki tarah 
Jo kabhi bhi kisi ko kuch nahin diya kartay
Mat chayo barshon ki tarah 
Jo na barsain to qahat aur barsain to tabahi ho
Mujhay mat chayo hawa ke jhonkay ki tarah
Jo pass se guzray to chand lamhon kay liye behka de
Mujhay may chayo khawabon ki tarah
Jo kabhi bhi haqeeqat pe mabni nahin hotay
Mujhay mat chayo lehron ki tarah
Jo kabhi kabhi le daboti hain ya sirf paon cho kar loat jati hain
Mujhay mat chayo seep ki tarah
Keh her seep ke naseeb main mooti kahan
Mujhay mat chayo chand ki tarah
Jo thandak aur khoobsurti to luta sakta hai
Magar zindagi ke asaar se mehroom hai
Mujhay mat chahyo suraj ki tarah
Jo qurbat par apni tapash se jhulsa kar rakh de
Mujhay mat chahyo shaam ki khoobsurti ki tarah 
Keh jis ke baad andehra hi andhera hai
Mujhay mat chahyo kushboo ki tarah
Jo pal bhar kay liye apney sehar main ja'karti hai
 Aur phir yeh sehar toot jata hai
Mujhay mat chahyo doulat ki tarah
Jo sachay rishton ko bhi thukra dati hai
Mujhay mat chahyo sehra ki tarah 
Jahan her taraf rait hi rait hai aur koi gulaab nahin
Mujhay mat chahyo rangon ki tarah
Keh her rang hi aik se barh kar aik hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...