- Agar zindagi aram-o-sukon se guzarna chahtay ho to dusron se shikwa na karo
- Sirf bad-duaein hi khushiyon ke raston main band nahin bandhti
bar ha sabar bhi sukh ki raah main dhool ban jaya kartay hain
- zindagi main kisi ko itn amat chaho keh tum is ki judai bardast na kar sako
- Insaan ko is gulaab ke phool ki tarah hona chiya jo in hathon main kushboo deta
hai jo ussay masal detay hain
- Jo apney liye asool nahin banatay .unhain dosron ke banaye huaye
asoolon par chalna parta hai
- Kamyaab insaan mazi ki nakamiyan yaad rakhtay hain
- Jab aitamaad toot'tay hain to insaan andar se kis tarah kirchi kirchi
hota hai yeh wohi jaan sakta hai jo is qarb se guzra ho
- Mohabbat agar be-wafa ban jaye to ansoo muqadar ban jatay hain
- Dusron ko maaf kar diya karo lakin apney aap ko nahin
No comments:
Post a Comment