- Jo raston ke ishaq main griftaar ho jatay hain Manzalain un se door ho jaya karti hain
- Jis shaks ki adm-mougodagi main tum us ki himayat na kar sako ussay apna dost
kabhi mat samjna
- Jo log khud se hum kalam rehtay hain woh kabhi tanha nahin hotay
- Jo log hansana bhool jatay hain , woh khandar ho jaya kartay hain
veeran aur ujaar khandroan main bhi hota hai keh jo baat hum sochna nahin
chahatay wohi hamaray muqadar main likh di jati hai
- bimariyon main sab se bari bimari dil ki hai aur dil ki bimariyon main sab
se bari bimari dil-azari hai
- darwazay hamesha khulay rakho kyn keh kuch log datakon ke qaiyal nahin hotay
- Jis mohabbat par ap fakhir na kar sakaein woh sirf dukh hai
- Kuch khawabon ko paney kay liye kuch khwabon se dasbardar bhi hona parta hai
- Kuch log hawa ki manind hotay hain chupkay se zindagi main atay hain aur
chupkay se zindagi ko apney sath le jatay hain
- Rishton aur insanon se barh kar kuch bhi aham nahin hota bashar'teeka
woh hamaray sath mukhlis aur pur-khaloos hon
- Azmaish dost ki ho ,mohabbat ki ho , ya kisi dilbar lamhay ki kabhi bhi
sood'mand nahin hoti , kon janey is lamhay woh kitna majboor ho
- Mohabbat aitabaar ke baghair kuch nahin aitabaar baghair mohabbat
ke bhi qeem'mati hota hai
- Jagti raton main khawaabon ki chadar orh kar sehra ki tishnagi aur kushak
paton ki chubhan koi koi mehsoos karta hai
- Zindagi kiya hai ,aitabaar aur be-aitabari ke darmiyan ka intahai takleef-deh safar
No comments:
Post a Comment