Mar 5, 2014

Chaand ke sath kai dard puraney niklay



Chaand ke sath kai dard puraney niklay
Kitney gham thay jo teray gham ke bahanay niklay

Fasl-e-gul aye phir aik baar aseeran-e-wafa 
Apney he khoon ke darya main nahaney niklay

Hijar ki choat ajab sang shikan hoti hai
Dil ki be faiz zameeno se khazaney niklay

Dil ne ik eent se tamee kiya taaj mehal
Tu ne ik baat kahi laakh fasaney niklay

dasht-e-tanhai hijraan main khara sochta hoon 
haye kiya loag mera sath nibhaney niklay

Main ne Amjad Ussay be-wasta dekha he nahin
Woh to kushboo main bhe Ahhat ke bahaney niklay

Poet : Amjad islam Amjad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...