Mar 17, 2014

Chale to kat hi jaye ga safar Ahista Ahista



Chale to kat hi jaye ga safar Ahista Ahista
Hum un ke pas jatay hain magar Ahista Ahista

Abhi taron se khelo chandani se dil beh'layo
Milay gi us ke chaheray ke saher ahista ahista

Dareechon ko to dekho , chilmano ke raaz ko samjho
Uthain ge parda haye baam-o-dar ahista ahista

Dikha dena ussay zakham-e-jiger ahista ahista
Samjh kar , soch kar , pehchaan kar , ahista ahista

Dahaly gi raat aye ge sehar ahista ahista
Piyo in ankh'riyon ke naam par ahista ahista

Yaka-yak aisay jal bujhney main lutaf jaan-kani kab tha
Jalay aik shama par hum bhi magar ahista ahista 

Youn hi ik roz apney dil ka qissa bhi suna dena 
Khitaab ahista ahista nazar ahista ahista


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...