Mar 13, 2014

Dair lagi aney main tum ko , shukar hai phir bhi aye to


Dair lagi aney main tum ko , shukar hai phir bhi aye to
Aas ne dil ka sath na chora, Waisay hum ghar aye to

Shafaq, dhanak, Mehtaab ,ghata'ein ,taray .nagmay , bijli, phool
Us daman main kiya kiya kuch hai  woh daman hath aye to

Chahat ke badlay main hum ne baich di apni marzi tak
koi milay to dil ka gahak , koi hamain apnaye to

Kyn yeh mehar angaiz tabassum , mad-e-nazar jab kuch bhi nahin
Haye koi anjaan agar is dhokay main a jaye to

Suni sunaye baat nahin yeh apney oper beeti hai
Phool nikaltay hain sholon se , chahat aag lagay to

Jhoot hai sab tareekh hamesha apney ko doh'rati hai 
Acha mera khwaab-e-jawani thora sa dhar aye to

Nadani aur majboori main yaro ! Kuch to faraq karo
Ik be-bas insaan karay kiya toot ke dil a jaye to

Poet : Andleeb Shadmani

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...