Deepak raag hai chahat apni ka hai suna'ein tumhain
Hum to sulagtay he rehtay hain kahay sulgaein tumhain
Tark-e-mohabbat tark-e-tamana kar chukney ke baad
Hum pe yeh mushkil aan pari hai kaisay bula'ein tumhain
Dil ke zakham ka rang to shayed ankhon main bhar aye
Rooh ke zakhmon ki gehraei kaisay dekha'ein tumhain
Dard hamari mehroomi ka tab tum jano ge
Jab khaney aye gi Chup ki sayein sayein tumhain
Sanata jab tanhai ke zehar main bujhta hai
Woh ghariyan kyn kar kat'ti hain kaisay bata'ein tumhain
Jin baton ne piyaar tumhara nafrat main badla
Dar lagta hai woh bat'ein bhi bhool na jay'ein tumhain
Rang barangay geet tumharay Hijar main hath aye
Phir bhi yeh kaisay chah'ein keh sari umar na pay'ein tumhain
Urtay panchi dhaltay saye jatay pal aur hum
Beran shaam ka daman tham ke roz bula'ein tumhain
Door gagan par hansaney walay nirmal komal chaand
Be'kal man kehta hai ayo hath laga'ein tumhain
Poet : Zahoor Nazar
No comments:
Post a Comment