Dil main ik lehar se uthi hai abhi
Koi taza hawa chali hai abhi
Sor barpa hai khana-e-dil main
Koi dewaar se giri hai abhi
Kuch to nazak mijaaj hain hum bhi
Aur yeh chot bhi nai hai abhi
Jee jalaney de hum-nafas keh mujhay
Fursat-e-naala-e-shabi hai abhi
Bhari duniya main jee nahin lagta
Janey kis cheez ki kami hai abhi
Tu shreek-e-sukhan nahin hai to kiya
Hum sukhan tari khamoshi hai abhi
Yaad ke be-nisaan jazeron par
Tari awaz a rahi hai abhi
Poet : Nasir Kazmi
No comments:
Post a Comment