Faslay aisay bhi hon ge yeh kabhi socha na tha
Samney betha tha meray aur woh mera na tha
Woh ke kushboo ki tarah phaila tha meray chaar soo
Main usaay mehsoos kar sakta tha cho sakta na tha
Raat bhar pichali se Aahat kaan main ati rahi
Jhank kar dekha gali main koi aya na tha
Aaj us ne dard bhi apney alehda kar liye
Aaj main roya to meray sath woh roya na tha
Yeh sabhi veeraniyan us ke juda honey se thein
Ankh dhundlayi hui thi shaher dhundlaya na tha
Yaad kar ke aur bhi takleef hoti thi adeem
Bhool janey ke siwa ab koi chara bhi na tha
Poet : Adeem Hashmi
Poet : Adeem Hashmi
No comments:
Post a Comment