Mar 14, 2014

Gulon main rang bharay bad-e-no bahar chalay


Gulon main rang bharay bad-e-no bahar chalay
Chalay bhi ayo keh gulshan ka karobaar chalay

Qafas udaas hai yaroo saba se kuch to kaho
Kahin to behare khuda aj zikr-e-yaar chalay

Kabhi to subha teray kanj lab se ho aghaz
Kabhi to shab sar-e-kakal se mushkbaar chalay

Bara hai dard ka rishta yeh dil ghreeb sahi
Tumharay naam pe ayein ge ghamgusaar chalay

Jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
Hamaray ashak teri aqbat sanwaar chalay

Hazoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ki talab
Girah main le kay girabaan ka tar tar chalay

Maqam, faiz koi raah main jacha hi nahin
Jo koy-eyaar se niklay to sooy-edaar chalay

Poet Faiz Ahmed Faiz

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...