Mar 3, 2014

Ik shaks ki chahat ka armaan raha aksar


Ik shaks ki chahat ka armaan raha aksar
Jo jaan kar bhe Sab kuch anjaan raha aksar
 
yeh piyaar mohabbat ka hai khel khuda janey kaisa
keh jis ne wafa ki us ko nuqsaan raha aksar
 
Ata hai woh neendon main rehta hai woh khwaabon main
Ik he to us ka Mujh pe ehsaan raha aksar
 
kon kehta hai woh meray bagair tanha ho ga
Woh ik chaand hai kahin aur chamakta ho ga
 
woh to rehta hai mohabton ke dais main
usay kiya khabar koi tanha ussay sochta ho ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...