Mar 3, 2014

Gum sum hua aawaz ka dariya tha jo ik shaks




Gum sum hua aawaz ka dariya tha jo ik shaks
Pathar bhe nahin ab woh, sitara tha jo ik shaks
Shyed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehron ko baray ghour se parhta tha jo ik shaks

Shera ki tarh der se piyasa tha woh shyed !
Badal ki tarah toot ke barsa tha jo ik shaks
Ae taz hawa koi khaber us ke janoon ki
Tanha safar-e-shauq pe nikla tha jo ik shaks

Ab aakhri satroon main kahin naam hai us ka
Ahbaab ki fehrist main pehla tha jo ik shaks
Hathon main chupay huaye phirta hai kai zakham
Sheeshay ke khilonon se bhelta tha jo ik shaks

Mur Mur ke usay dekhna chayain meri Aankhain
Kuch door mujhay chorney aya tha jo ik shaks
Ab us ne bhe apna liye duniya ke qareenay
Sayeeki rafaqat se bhe darta tha jo ik shaks

Her zahan main kuch naqash-e-wafa chor gaya hai
kehnay ko bharay shaher main tanha th ajo ik shaks
Munkar hai wohi ab meri pehchaan ka Mohsin
Aksar mujhay Khat khoon se likhta tha jo ik shaks


Poet : Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...