Mar 4, 2014

Kisi ko Alvida kehna bhout takleef data hai


Judai
Kisi ko Alvida kehna 
Bhout takleef data hai
Umeedain toot jate hain
Yaqeeni na yaqeeni ka kohr kuch aisa charta hai
dikhai kuch nahin deta, sujhaei kuch nahin deta
Dua ke lafaz honthon pe musalsal kap kapatay hain
Kisi khwaish ke andeshay zehan main door jatay hain
Gumaan kuch aisay hota hai
Keh jaisay mil nahin payein ge
Yeh gehray zakham furqat ke
Kisi se sil nahin payain ge
Kabhi aisa bhe hota hai 
YA RAB Duaien maan leta hai
Tu koi mohjaza kar de
Tu aisa kar bhe sakta hai
Meray hathon ki taraf dekh inhain to bhar bhe sakta hai
 Judai ki yeh teekhi dhaar 
Dilon ka khoon karte hai
Judai ki azeat se 
Mera dil ab bhe darta hai
Judai 2 ghari ki bhe ho to
Koi dil ko samjhay
Judai 4 pal ki ho to
Koi dil ko behlaye
Judai umar bhar ki ho to kiya chaara karay koi
Keh ik milney ki hasrat main
Bhala kab tak jeaye koi
Meray Moula
Karam Kar de 
Tu Aisa kar bhe sakta hai
Meray hathon ki janab dekh 
Inhain to bhar bhe sakta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...