Kisi ki Aankh se sapnay chura kar kuch nahin milta
mundairon se chraghon ko bhujha kar kuch nahin milta
hamari soch ki parwaz ko roke nahin koi
naye Aflaak per pehray betha kar kuch nahin milta
koi aik Aadh sapna ho to phir acha lagta hai
Hazaroon khwaab Aankhon main saja kar kuch nahin milta
Ussay kehna keh palkon par na tankay khwaab ki jhalar
Samandar kay kinaray ghar bana kar kuch nahin milta
Acha hai keh Aapas ke bharam na tootaney payein
Kabhi bhe dooston ko azma kar kuch nahin milta
Na janey kon se jazbey ki youn taskeen karta hoon
Ba zahir to tumharay khat jala kar kuch nahin milta
Faqat tum se he karta hoon main sari raaz ki batain
Her aik ko Dastaan-e-gham suna kar kuch nahin milta
Amal ki sookti rag main zara sa khoon shamil kar
Meray hamdam faqat batain ban kar kuch nahin milta
Usay main piyaar karta hoon to mujh ko chain ata hai
Woh kehta hai usay mujh ko sata kar kuch nahin milta
Mujhay Aksar sitaroon se yahi Awaaz ati hai
Kisi ke hijar main neendain ganwa kar kuch nahin milta
Jiger ho jaye ga chalni , yeh Akhain khoon roain gi
Wasi be-faiz logon se nibha kar kuch nahin milta
Poet : Wasi Shah
No comments:
Post a Comment