Mar 7, 2014

Kuch to hawa bhe sard thi kuch tha tera khyal bhi



Kuch to hawa bhe sard thi kuch tha tera khyal bhi
Dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi

Baat woh adhi raat ki, raat woh pooray chand ki
Chand bhi aian chait ka us pe tera jamaal bhi

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuch aisay dekhta
Aik dafa to ruk gaye Girdish maah-o-saal bhi

Dil to chamak sakay ga kiya , phir bhi turash ke dekh lain
Sheesha graan-e-shaher ke hath ka yeh kamaal bhi

Us ko na pa sakay thay jab dil ka ajeeb haal tha
Ab jo palat ke dakhiye , baat thi kuch mahaal bhi

Meri talab tha aik shaks , woh jo nahin mila to phir
Hath dua se youn gira, bhool gaya sawaal bhi

Us ke he bazoaon main Aur us ko he sochtay rahay 
Jism ke khwaishon pe thay rooh ke aur jaal bhi

 Parveen Shakir


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...