Main khyal hoon kisi aur ka mujhay sochta koi aur hai
Sar-e-aina mera aks hai pas-e-aina koi aur hai
Main kisi ki dast-e-talab main hoo tu kisi ke harf-e-sawal main
Main naseeb hoon kisi aur ka mujhay manghta koi aur hai
Meri roshni taray khdo-khaal se mukhtalif to nahin magar
Tu qareeb a tujhay dekh loon tu wohi hai ya koi aur hai
Tujhay dushmano ki khabar na thi mujhay dostonka pata na tha
Teri dastaan koi aur thi mera waqiya koi aur hai
Kabhi loat ayein to poochna nahin dekhna unhain ghour se
Jinhain rastay main khabar hui keh yeh rasta koi aur hai
Poet : Saleem Kosar
No comments:
Post a Comment