Mar 1, 2014

Mujh ko is tarah sotay huaye chor kar mat jana


Mujhay tum is tarah sotay huyemat chor kay jana 
Mujhay be'shak jaga dena 
bata dena
Mohabbat kay safar main saath meray chal nahin sakti 
Judai main hijar main , saath meray chal nahin sakti 
Tumhain rasta badalna hai 
Meri had se nikalna hai 
Tumhain kis baat ka dar tha 
Tumhain janay nahin deta 
Kahin pe qaid kar leta 
Mohabbat ki tabiyat main 
Zabardasti nahin hoti  
Jissay rasta badalna ho , ussay raasta badalnay se 
Jissay had se nikalna ho , ussay had se nukalnay se 
Na koi rok paya hai , na koi rok paye ga 
Tumhain kis baat ka dar tha 
Mujhay be'shak jaga detay Main tum ko dekh hi leta 
Tumhain koi dua deta 
Kam-az-kam youn to na hota 
Meray saathi haqeeqat hai 
Tumharay baad khonay kay liye kuch bhi nahin baaqi 
Magar khonay se darta hoon 
Main ab sonay se darta hoon
 
 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...