Mar 6, 2014

Mujhay Ik Nazam Likhni Hai





Mujhay Ik Nazam Likhni Hai

Kisi bhe khoobsurat shaam main milney chalay ayo
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Sunehri dhoop ke jaisa tera rang roop ujla sa
Dhulay barish se dekho to haseen piyaray nazaray hain
Falak ke istaaray hain
Yeh teri aankh jaisay hain
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Teri zulfain hai gehri jhoomti phirti ghatayon si 
Nasheeli Aankh main teri shraboan ki si masti hai
Tumhari naram palkon par jo roshan se sitaray hain
Mujhay un ko bhe choona hai
Teray in band honthon main chupi jo muskurahat hai
Yehi to shairy hai bas
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Teri aankhain bhout kuch bolti hain
Teri batain shahad sa gholti hain
Yeh phoolon pe giri shabnam taray galon ki jaisi hai
chamakti chandani jaisi teri roshan jabeen par bhe
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Ghani shakhon ke paton main chupa woh chaand piyara sa
Teray chaheray ke jaisa hai 
Teray is chaand chaharay par
Mujhay Ik Nazam Likhni Hai
Kisi bhe khoobsurat shaam main milney chale ayo

Poet : Arshad Malik

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...