Mar 17, 2014

Muskuraney ki baat kartay ho



Muskuraney ki baat kartay ho
Kis zamaney ki baat kartay ho
Ab to kanj-e-qafas bhi raas nahin
Ashiyane ki baat kartay ho
Jhilmilaney lagay nazar ke chragh
Kis ke aney ki baat kartay ho
Roz jhooti tasaliyan de kar 
Dil barhaney ki baat kartay ho
A ke dekho Yeh rabt shabnam-o-gul 
Kyn rulaney ki baat kartay ho
Hum ko la ke faraib-e-farda main
Azmaney ki baat kartay ho
Ishq aur mushak do hain , aik nahin
Kis ghraney ki baat kartay ho
Zad pe a kar kisi ki kyn faizi 
Choat khaney ki baat kartay ho

Poet Sayed Faizi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...