Mar 14, 2014

Yeh hum ne dekha tha Khwaab piyaray , nadi kinaray



Yeh hum ne dekha tha Khwaab piyaray , nadi kinaray
Zameen pe utray thay do sitaray , nadi kinaray

Na-janey guzray hain kitney sawan is arzoo main
Kabhi to koi hamain pukaray , nadi kinaray

Kabhi idher se guzar ke dekho to yaad ayein
Woh qaul apney wachan tumharay, nadi kinaray

Tumhain na dekha to raigaan raigaan lagay hain
Shraab, shabnam, shafaq, shraray , nadi kinaray

Tumhain na paya to moj dar moj bat gaye hain
Yeh shart hum is tarah haray , nadi kinaray

Yeh ghar ki tanhai'yan to mohsin sada rahain ge
Chalo sehar ki hawa pukaray , nadi kinaray

Poet : Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...