Mar 13, 2014

Pehlay to kisi ko bhi rulaya nahin kartay



Pehlay to kisi ko bhi rulaya nahin kartay
Haan khud jo khafa ho to mana'ya nahin kartay

Ik baar gira dain jissay hum apni nazar se
Us shaks ko phir dil main bitha'ya nahin kartay

Bolay jo mohabbat se to socha'ein ge kabhi na
Nafrat se magar hath milaya nahin kartay

Us shaks se mil ke mujhay ehsaas hua hai
Jo pairr  baray hotay hain saya nahin kartay

Rakhtay hain unhain hum sada seenay se laga kar
Dukh apn akisi ko bhi sunya nahin kartay

Yeh khail mohabbat ka hai phir soch lo Arshad 
Kho datay hain sab kuch yahan paya nahin kartay

Poet : Arshad Malik

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...