- Apni khwaish ko dil main hi maar dalo kahin aisa na ho keh
Tumhara dil is khwaish main mar jaye
- Zindagi ke aadhay gham insaan dusroon se tawaquaat wabasta
kar ke kharidata hai
- Agar tum kisi ki raah main pathar bano ge to aaney wala
tumhari raah main pahaar ban jaye ga
- Jo shaks apney khloos ki qasmain khaye us par kabhi aitamaad na karo
- Insaan ko itna bhi jhoot nahin bolna chaiya keh ussay apni kahi hui baat
ki sachaaie sabat karney kay liye kisi dosray ki gahwahi ki zaroorat paray
- Nahin se baat shroo ho to daman hi nahin , dil bhi tang ho jata hai , phir na dil
main jaga milti hai aur na hi daman main
- Jo gham mazi ban chuka hai us par ghamgeen aur afsurda honey ka matlab
yeh hai keh hum aik naye gham ko dawat de rahay hain
- Dukh jab parday main ho tab tak dukh hi rehta hai aur jab
be-naqaab ho jata hai to is ka doosra naam sukh ho jata hai
- Shammah ki zindagi basar karo jo khud to jalti hai magar dosron
ko roshni ponchati hai
- Jab tak kisi shaks se baat cheet na ho , ussay haqeer mat samjho
- Jab aaqal pukhta hoti hai to admi ki guftagoo bhout kam ho jati hai
No comments:
Post a Comment