Mar 3, 2014

Tera rishta keh meray dil se hai dharkan ki tarah


Tera rishta keh meray dil se hai dharkan ki tarah
Dil khankta hai teray naam pe kangan ki tarah

Aaj phir dil pe ghata chai teri yadoon ki
Aaj phir toot ke roya hoon main sawan ki tarah

Janay kab se teri surat ko tarsti hai nigah 
Muntazir saij pe  baithi hui dulhan ki tarah 

Tujh se bichri to bhatakti hai mohabbat jana
Dil garifta si teray shaher main jogan ki tarah 

Shouq hai tujh ko juda honay ka lakin Arshad 
Raakh kar day gi judai Eendhan ki tarah

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...