Woh ishq jo hum se rooth gaya , Ab us ka haal batain kiya
Koi mehar nahin koi qahar nahin, Phir sacha shair sunain kiya
Ik hijar jo hum ko lahaq hai, ta dair ussay dohrain kiya
Woh zehar jo dil main utaar liya, Phir us ke naaz uthaain kiya
Phir aankhain lahoo se khali hain yeh shamein bujhney wali hain
Hum khud bhe kisi key sawali hain, is baat pe hum sharmayein kiya
Ik Aag gham-e-tanhai ki, jo saray badan main phail gaye
Jab jism he sara jalta ho, Phir daman-e-dil ko bachaein kiya
Hum naghma sara kuch ghazlon ke, hum surat gar kuch khwaabon ke
Be jazba-e-shauq sunain kiya, koi khwaab na ho to bataein kiya
Poet : Ather Nafees
No comments:
Post a Comment