Yeh umar tumhari aisi hai
Jab Asmaan se taray tor ke le ana bhi
Sach much mumkin lagta hai
Shaher ka her abad ilaqa
Apna angan lagta hai
Youn lagta hai jaisay her din
Her aik manzar
Tum se ijazat le kar
Apni shakal moaiun karta hai
Jo chaho woh ho jata hao
Jo socho woh ho sakta hai
lakin ae is kachi umar ki barish main
Mastana phirti chanchal larki
Yeh badal jo aj tumhari chat par ruk kar tum se batain karta hai
Ik saya hai
Tum se pehlay aur tumharay baad ke her aik mousam main yeh
Her aik chat par aisay he aur isi tarah se
Dhokay banta phirta hai
Subha azal se shaam abad tak
Aik he khail aur aik he manzar
Dekhney wali ankhon ko her baar dekhya jata hai
Ae sapno ki saig par soney jagnay wali larki
teray khwaab jeayein
Lakin itna dehaan main rakhna
Jeewan ki is khwaab sara ke
Saray manzar
Waqat ke qaidi hotay hain jo apni ro main
In ko sath liya jata hai
Aur mehmaiz kiye jata hai
Dekhneay wali Aankhain peechay reh jati hain
Dekho jaisay meri Aankhain
Poet Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment