Mar 6, 2014

Youn hi be sabab na phira karo koi shaam ghar bhe raha karo



Youn hi be sabab na phira karo koi shaam ghar bhe raha karo
Woh ghazal ki sachi kitaab hai ussay chupkay chupkay parha karo

Koi hath bhe na milaye ga jo gale milo ge tabaak se
Yeh naye mizaaj ka shaher hai zara fasley se mila karo

Abhi raah main kai mor hain koi aye ga koi jaye ga
Tumhain jis ne dil se bhula diya ussay bholney ki dua karo

Mujhay istihaar si lagi hain yeh mohabton ki kahaniyaan 
Jo kaha nahin woh suna karo Jo suna nahin woh kaha karo

Kabhi husan parda naseen bhe ho zara aashqana libaas main
Jo main ban sanwar ke kahin chalon meray sath tum bhe chala karo

ANhin be hijaab woh chaand sa keh nazar ka koi asar na ho
Ussay itni Garm-e-shauq se bari der tak taka  karo

Yeh khizaan ki zard se shaal main jo udaas pair ke pass hai
Yeh tumharay ghar ki bahaar hai issay Ansoaon se hara karo

Poet : Bashir Badar

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...