Mar 4, 2014

Zindage ke melay main khawaishon ke railay main


Zindage ke melay main
khawaishon ke railay main
tum se kiya kahain janaa
is qadar jhamailay main
waqat ki rawani main
bakhat ki garani main
Shakhat be-Zameeni hai
Sakhat la-makani hai
Hijar ke samandar main
Takhat aur takhatay ki aik he kahani hai
Tum ko jo sunanai hai
Baat goo zara se hai
Baat umar bhar ki hai
Umar bhar ki batain kab 2 ghari main hoti hain
Dard kay samanadar main un-ginat jazeeray hain
Be-sumaar moti hain
Aankh ke dareechay se tum ne jo sajaya tha
Baat us diya ki hai
Baat us Gilay ki hai
Baat takhliya ki hai
Takhliya ki baton main Guftagoo izafi hai
Piyaar karney walon ko bas aik nazar he kafi hai
Ho sakay to sun jayo ik din akelay main
Tum se kiya kahain Janaa is qadar jhamailay main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...