Ghar bhi soona hai meray zeesat ke angan ki tarah
Loat ke wwaqat na aya Meray bachpan ki tarah
Par-tavay zulf meray behtay huye ashkon ne
Kisi sailaab main behti hui nagan ki tarah
Kar ke ghyal mujhay us ka bhi bura haal hua
Us ki zulfain bhi na suljhaein meri uljhan ki tarah
Aur mujh ko ghurbat ne dasa us ko daulat ki hawas
Bik gaya woh bhi bar haal meray fun ki tarah
No comments:
Post a Comment