Apr 13, 2014

Main aur meri tanhai




MAin aur meri tanhai

Main aur meri tanhai aksar yeh batain kartay hain

Keh tum hoti to yeh hota

Tum hoti to woh hota

Yeh asmaan pe sitaray hain

Ya tera anchal hai

Yeh hawa ka jhonka hai ya

Tumharay badan ki kushboo

Yeh hai paton ki sar-sarahat

Ya keh chupkay se tum ne kuch kaha hai

Main yeh sochta hoon

Youn hi gum sum

Jab keh mujh ko yaqeen hai

Tum nahin ho kahin nahin ho

Main aur Meri tanhai

Aksar yeh batain kartay hain
 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...