Apr 13, 2014

Phir daman-e-umeed woh phoolon se bhar gaya


Phir daman-e-umeed woh phoolon se bhar gaya

Jadoo bhari nigha se jadoo sa kar gaya

Bas dekhtay hi dekhtay duniya badal gaye

Kuch sochtay hi sochtay chehra utar gaya

Be-taab Be-qaraar tha pehlay hi dil bhout

Phir ap ka ana aur bhi be-taab  kar gaya

Ik be-khudi ka naam mohabbat hai dostoo

Chahat main kis ko hosh hai kiya kiya guzar gaya

Kuch bhi pata nahin hai mohabbat main ae wasi

KAb raat subha ho gaye kab din guzar gaya


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...